PROFESSIONAL TIPS

Unknown Share:

Apne daftar mein aise anasir ka mutala karein jo budnazmi paida karte hain.Konsi baat unhey uksaati hai jis ki waja se kaam mein khalal paida hota hai.

Meeting set karte waqt tamam mutaliqa afraad ko email bhejein jis mein meeting k auqaat,jagah,agenda k sath unki shirkat ki tasdeeq ki darkhwast bhi ho. 

Daftar mein aapka rawaya aapki zimadariyon jitna he aham hai.Mutakabir aur na khushgawar rawaya aap k behtareen kaam ko bhi manfi kar de ga.

Interview k ikhtatam par tasali se apna sara saaman uthaein,interview panel ka shukriya ada karein aur sab se hath mila kar kamre se bahir aa jaein. 

Daftar mein apne tamam sathion ki izat kijiye,chahay woh kisi bhi rang,nasal ya mazhab se taluq rakhtay hain.Aap izat karaingay tou izat payen gay.

Contractual nokri karnay se pehle tasali kar lein k aya contract renew ho jaye ga ya yeh kum muddat ki nokri hai.Is k mutabik mansooba bandi karain. 

Aksar companies saalana bonus december mein jarri karti hein.Apne HR department se is k mutaliq pehlay hi agahi ley lein.

Doosron ki tajaweez par ghor karain, khaas taur par un doston ki jo aik kamyaab paishawarana zindagi guzaar rahay hain. 


Chutti karne se kum us kum 24 ghantey pehlay apne boss ko agha karein.Tamam aham zair e samaat kaamon ki list unhein dein.

Apni salihiyaat aur takneeki hunar ko jidat dein.Mojuda rujhan k mutabiq aise shobon mein trainings hasil karein jo baishtar naukriyon mein appk kam aein. 


Meeting par takheer se pohanchna aik toheen amaiz ikdaar hey,khasoosan uss shaks k liye jis ney apney qeemti waqt mein se app k liye time nikala ho.

Daftar mein kisi aik do afraad ki ghalti ki wajah se tamaam afraad par koi qanoon musalat na karein.Ye daftar mein manfi mahol paida karta hai. 


Nai Naukri ki paishkash par ghor karte huey is mein taraqee k muwaqon ka tay'yun zaroor kar lein.Nai naukri ap k paishawarana maqasid k mutabiq ho.Tunkhwa k baraks auhdey aur zimadariyoun ko tarjeeh dein.

Daftari muamlaat mein mafroozon aur suni sunayi baaton se parhaiz karein.Yeh apki aur karobar ki tarakee k liye nuksandeh ho sakte hein.Behtar hey k shak par amal karne ki bajaye ap tehkeek aur mashawrat se kaam lein. 


Jab aap kisi project k sarbarah houn tou aap ko chahiye k aap us baray mein puri maloomat rakhain ta k aap apnay team members ko woh asani se samjha sakain.

Intehai zaroorat mein he chutti karain.Agar aap sust mehsoos kar rahay hain tou yaad rakhain,bohat berozgar loge hain jo aap ki jaga le saktay hain. 


Apni raaye 3 steps mein dein. Apnaya gaya tareeka batain. Phir uska nateeja. Matehat ki raaye aur phir apna mushwara dain.

Poucho, Suno aur Seekho! Apne se baron ki aur boss ki sunain, un se poochain aur un k tajarbay se sabak seekhain. 

Naukri k liye hamesha un tulba ko tarjeeh di jati hai jo qabil e aitemad aur mehanti houn beshak un ka guzishta experience kisi aur industry ka ho.

Tulba k liye naukri ka experience na honay ki waja se,CV per sab se ahem tareen unki taleemi maloomat hoti hain. 


Agar aapki angrezi achi nahi tu interview mein iss k istemaal ko mukhtasir rakhein.Ghalat Grammar se interviewer ko aap ki kaabliyat per shuk hoga.
 

Agar apki company apki tunkhuwa se mahana tax katati hey tau zaroori hey k app har karobari saal k ikhtitam par company se aik Tax Certificate lein. 

Pehli naukri mein boss ka ap se mutasir hona ap ki paishawarana tarakee k liye ahm hey.Unki tuwaquat par poora utarney ki bharpoor koshish karein.

Zaroori hey k ap apni munfarid salahiyat ka istaimal zaroor karein jin se ap ka mahkma ya company mustafeed hoon. Pehli naukri mein yeh apk k liye nihayat faidamand sabit ho sakta hey. 

Apney saathiyon ki madad karney sey mut katraein.Har us kaam mein hisa lein jo ap k mahakma ya company k liye mufeed hey.
 

Aadat dalein k agar kisi sawal k jawab na aata ho tau us ki tehkeek zaroor karein.Ap bohat jaldi bohat kuch seekh sakein gey. 

Agar app company mein aala maqam chatey hein tau yakeeni banaein k log aap ki karkardigi aur kamyabiyon se ba khabar hon.


Keep on Learning... Stay Blessed!

Team
Scouts HR
Published by Unknown

Get Updates in your Email
Complete the form below, and we'll send you our best of articles.

Deliver via FeedBurner

Wikipedia

Search results

Contact

TOP